Beniqaab

 

Dil ki khwaishien poori karne aayi thi

Jiski aankhe ek pal mein aayna ban jaye

Usse milne aayi thi.

Nazare jhuki nahi

Upar uthake aayi thi.

 

Apne paeron par khade hona seekh liya hai jo

Wohi beti aur poti ban kar aayi hu.

Aangan mein meethe phoolon ki mehak

Lene aai hu, jo ma ke haatho se khile hai

 

Gulabi, neele aur narangi. Papa ki pustako

Ki Khushboo, lekar jaaungi.

 

Apne sapno ki seema

Paar karke, taufe lekar aayi thi.

Yaadon se bhare khayal taufe banakar

Le jaa rahi hu. Ab

 

Kisi ka darr nahi hai mujhmein,

Taarein aur Chandni mein simat

Kar jeena seekh liya hai. Phir bhi Humme

Kabhi kabhi chubta hai magar

 

Ki jis dharti par paaon hai

woh apni hee nahi. Baat

jayaz hai ki ghar wahi hai

Jahan dil aur halaat

 

Dono sahi ho. Agar

Na ho halaat sahi toh

Acche ache ko kahin aur ghar

Basana padta hai.

 

Dil ki khwaishien poori karne aayi thi

Aur pyaar bhari bahain lekar jaa rahi hu.

Dosti wahin hain jo seema paar karke bhi

Pahuch jaaye, sahi waqt par.

 

Jo tab hai jab zaroorat hai

Apne samay lekar munaafa soch kar nahi.

Sacchi dosti ko nibhaane aayi hu

Bahut saari baatein, hasi aur beniqaab muskurahat

 

Lekar jaa rahi hu,

Apne haatho mein kaske pakadkar

yeh sab khushian. 

 


 

Comments

Popular posts from this blog

The Moon goddess

Biology